Hi. Jin jobs pe apko assessment questions ke answer nahi dene padenge aur aap directly apply kar payenge unko No test required jobs kehte hain.
No test required job search karne ke liye ye steps follow kijiye:
Step 1: Neeche se Jobs pe click karke Jobs page mein jayiye.

Step 2: Filters option pe click kijiye.

Step 3: Uske baad Popular section mein jake No test required pe click kijiye.

Step 4: Ab niche green color mein Apply button pe click karne filter ko save kijiye
Step 5: Job page mein ane ke baad apko sirf waise jobs dikhenge jisme aap bina assessment test diye apply kar payenge.
Jo job apko achha lagega uske job card pe click kijiye. Job description aur details achhe se padh ke directly apply kijiye.
Good luck!
Related Queries:
HR se baat karne ke liye number kaise milega?
Job par apply kaise karein?
Maine konse jobs mein apply kiya?
Dusre cities ya locations mein job kaise search karu?