Hi.
Apne zaroor dekha hai ki kuch jobs mein, apply karne se pehle kuch questions ka sahi jawab dena zaruri hota hai. Usually do categories ka questions apko answer karna hoga:
1) Requirement base questions:
Yaha pe jo HR job vacancy post karte hai, woh requirement basis pe kuch questions dete hain.
For example: Kuch job mein candidate ke paas smartphone or laptop hona zaruri hota hai.
Iss case mein, apko question milega , “Kya apke paas smartphone aur laptop hai?” “Han “ ya “Na” option ke sath.
2) Skill-based questions:
Yeh questions job mein apply karne ke liye apke paas skills hai ya nahi check karne ke liye hote hain.
For example: Agar aap English teacher ke liye apply kar rahe ho, toh apke paas English grammar ka skills hona bohot important hai.
Iss case mein apko question mil sakta hai “ Iss Sentence mein preposition konsa hai- They go to bed at midnight”
Yeh saare questions clear karna bohot important hai, kyu ki iske baad hi aap job mein apply kar paoge.
Chinta maat kijiye, practise or apne skills ko behtar banane ki kosish kijiye, taki aap questions ka sahi answer de sake.
Good luck!
Related Queries:
HR se baat karne ke liye number kaise milega?
Job par apply kaise karein?
Maine konse jobs mein apply kiya?
Dusre cities ya locations mein job kaise search karu?