Hi. Kya aap confused ho ki apne qualifications ke hisab se apko konse jobs pe apply karna chahiye? Please chinta mat kijiye! Sirf ye cheezein yaad rakhiye:
1. Apne saare qualifications list down kijiye. Eg: Kya apke paas sirf 1 bachelor's degree hain ya uske saath koi certificate degree, diploma, master's degree bhi hain.
2. Fir jin subjects mein apke degrees hain, uske related jo bhi jobs hain unke ek list bana lijiye. For eg, agar apke paas English ka Bachelor degree hain, aap content writing, teacher, editor, telecaller, etc jobs pe apply kar sakte ho, agar apke paas hospitality management mein diploma hain, aap chef, bartending, front office, steward, receptionist jobs pe apply kar sakte ho.
3. Aap apne connections ke professionals se discuss karke bhi ideas le sakte ho.
4. Agar aap fir bhi sure nahi ho, aap google karke dekh sakte ho konse qualifications hone se konse jobs pe apply kar sakte ho.
Aur Profile section mein Education tab mein Add option pe click karke apna right education details zaroor fill kijiye.

Good luck!
Related Queries:
Job par apply kaise karein?
Maine konse jobs mein apply kiya?
Dusre cities ya locations mein job kaise search karu?